Kya 2024 Ka Sardi Mausam Bharat Ke Liye Sabse Thanda Banega? La Niña Effect Bharat mein agle mahine se haddi jamane wali thand pad sakti hai. Mausam vigyanik keh rahe hain ki is baar ki sardi Bharat ke itihaas ki sabse thandi ho sakti hai.
What is La Niña Effect ?
Is thand ke piche ka sabse bada karan hai La Niña Effect. Ye ek rare mausami ghatna hai jo Pacific Ocean ke pani ke normal se zyada thanda hone ki wajah se hoti hai. Ye thandi hawaon ka prabhav Asia ke kai deshon tak failata hai, jisme Bharat bhi shamil hai.
Jab Pacific Ocean ka pani kaafi thanda ho jata hai, tab global weather patterns bigadne lagte hain. Iske kaaran South aur Southeast Asia ke desh, jaise Bharat, Pakistan, Afghanistan, Sri Lanka, aur Myanmar, zyada thande mausam ka samna karte hain.
2001 mein Bharat mein La Niña Effect ka prabhav dekha gaya tha. Us sardi ne poore saat mahine tak logon ko pareshaan kiya, aur uska asar kaafi bhayanak tha.
Mausam vigyanikon ke hisaab se, 2024 mein La Niña Effect hone ke 60% chances hain. Agar aisa hota hai, toh December, January aur February ke mahine Bharat ke liye nightmare ban sakte hain.
Is ghatna ke wajah se bahut zyada thand, kadaak sardi, aur crodon logon ke liye challenges ho sakte hain. Kheti, bijli ki maang, aur public health par iska zabardast prabhav padne ki sambhavana hai.
Bharat mein sardi kaafi moderate hoti hai, par La Niña ke samay sardi normal nahi hoti. Taapman mein tez girawat daily life ko mushkil bana sakti hai, khaas kar Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh aur Punjab jaise northern states ke liye.
Experts ka kehna hai ki log abhi se tayyari shuru karen, jaise garam kapdon ka intezam karna, heating systems ko check karna, aur mausam ki report ko dhyan se dekhna. Awareness aur tayari hi iss sardi ko sambhalne ka sabse bada hathiyar banengi.
La Niña Effect ek reminder hai ki duniya ke weather systems kitne interconnected hain aur climate change ka hamari zindagi par kitna asar hota hai. Jaise hi December kareeb aa raha hai, Bharat ko iss sardi ke liye tayar rehna hoga taaki wo is thande chunauti ka samna kar sake.
Refrence by onevisionmedia.in
Author: farheenkhanama | Home |ntndevelopers