Cyclone Fengal LIVE:
Cyclone Fengal Tamil Nadu ki taraf badhta hua Puducherry ke paas landfall kar raha hai. India Meteorological Department (IMD) ne lagataar barish ke karan southern states ke kai hisson mein red alert jaari kiya hai.
IMD ke mutabik, Cyclone Fengal pichhle 6 ghanton mein 7 kmph ki raftaar se west-southwest ki taraf badha hai. Yeh 30 November 2024 ko 1730 hrs IST ke aas-paas southwest Bay of Bengal ke North Tamil Nadu coast par latitude 12.2°N aur longitude 80.3°E ke paas centered tha. Yeh coastline se sirf 40 km, Mahabalipuram ke 50 km south-southeast, Puducherry ke 60 km east-northeast aur Chennai ke 90 km south mein tha.
IMD ke ek adhikari ke anusaar, landfall process mein kareeb 4 ghante lag sakte hain. IMD ki latest update ke mutabik cyclone ke spiral bands ka forward sector Puducherry ke paas land mein ghus chuka hai. Cyclone Fengal ke landfall ke chalte Chennai Airport ne apne operations ko 1 December subah 4 baje tak bandh rakhne ka faisla kiya hai.
Cyclone ab west-southwest ki taraf badh raha hai aur North Tamil Nadu-Puducherry ke coasts ke beech Karaikal aur Mahabalipuram ke aas-paas cross karega. Agle 3-4 ghanton mein is area mein hawa ki raftaar 70-80 kmph se lekar 90 kmph tak ho sakti hai.
IMD ke Cyclonic Division ke head, Ananda Das ke mutabik, Tamil Nadu, South Andhra Pradesh, Kerala aur Karnataka ke kai areas mein bhari aur atyadhik bhari barish ke liye red alert jaari kiya gaya hai. Coastal North Tamil Nadu aur South Andhra Pradesh ke districts mein bhari barish hogi, aur 30 November ko Tamil Nadu ke interior areas mein bhi barish ki sambhavna hai.
Refrence by mint
Author| farheen |ntndevelopers | Home