Sambhal Jama Masjid
Supreme Court aaj Sambhal Jama Masjid Committee dwara dakhil ek yachika par sunvayi karega. Yeh yachika ek trial court ke faisle ko chunauti deti hai, jisme Advocate Commissioner ke madhyam se masjid ka survey karwane ka adesh diya gaya tha. Is maamle mein dawa kiya gaya hai ki masjid ek pehle se maujood mandir tod kar banayi gayi thi.
Chief Justice of India Sanjiv Khanna aur Justice Sanjay Kumar ki bench is maamle ki sunvayi karegi.
Shahi Jama Masjid Committee, jo Chandausi (Sambhal, Uttar Pradesh) ki masjid ka prabandhan karti hai, ne kaha ki vishesh paristithiyon ke chalte use seedha Supreme Court ka darwaza khatkhataana pada. Committee ne bataya ki is survey ke chalte 24 November ko hinsa hui thi, jisme 4 logon ki jaan chali gayi.
Masjid prabandhan ka kehna hai ki Civil Judge Junior Division ne bina notice diye jaldbazi mein order pass kar diya. Unhone yeh bhi kaha ki yeh mukadma Places of Worship Act 1991 ke tahat rok diya jana chahiye. Unhone yeh dawa bhi kiya ki masjid ek 16th-century ki smarak hai, jo ASI ke surakshan mein hai.
Masjid Committee ne kaha ki mosques ke khilaf belated claims ke adhar par survey ka adesh dena ek pattern ban gaya hai. Committee ne maang ki ki bina defendants ki baat sune aise adesh routinely pass na kiye jayein. Aise faisle sampradayik tanav, kanoon-vyavastha ki samasya aur desh ke dharmnirpekshta ke sutr ko chhati pohcha sakte hain, petitioner ne kaha.
Refrence by livelow.in
Author| farheen |ntndevelopers| Home